Tuesday, April 5, 2011

Review of SRJMB- 4th April- Apurva Struggling for job

Very emotional episode............ Loved Apurva's Dailogue- "Main ni kehta ki bade sapne ni dekhne chahiye, dekho zarur dekho, par jagti aankhon se, aur aise sapne dekho ki tumhari neendein ud jaye. Manzilen unhi ko milti hain jinke iradon mein jaan hoti hai, pankhon se kuch ni hota, hoslon se udaan hoti hai". Superb dialogue. Apurva interview dene jata hai bt vo idiot interviewer ne pehle se hi apne saale ko choose kar rakha tha, fir usne posts nikali hi kyu???????????? Bt Apurva ka dialogue- " Ek suggestion thi, apne saale se shirt mat silvayea ga varna apke kapde fat sakte hain" superb. Then vo news vaale fir se uncle ke piche pad gaye :( They are soo irritating. Uncle sahi kehte hain, sue kar dena chahiye unhe. Bechare uncle unki kismat mein hi vo hook vaali career vaali cycle thi :( Tullika ke kapde utarna n Pallavi n Preeti lad rahe ki kiski shirt pehle utari jaaye.Then vo Paresh ko kehna and Apurva ka plan mindblowing. N Apurva talking in Parsi language. Par uncle bahar aa jate hain n Apurva ka aur uncle ka samna ho jata hai :( Ab dekhte hain aage kya hoga.

1 comment: